Friday 14 August 2020

Aazadi

India azad hua angrezo see,
Pakistan azad hua India se, 
Par woh din kab aayega, 
Jab mummy azad hogi kitchen se, 
Papa ghar ke kaamo se, 
Bhai  apne farzo se,
Behne atyacharo se,
Biwi azad hogi majbooriyo se,
Aur pati apni sari taqleefo se, 
Kehna bada Asaan hai,
Hum saare azaad hain,
Par sab ko pata hai, 
Kaun kaha bandha hai, 
Azaad toh woh ruh bhi nai, 
Jo hum sab ke andar hai,
Azaad woh umeed bhi nai, 
Jis ki wajah se hum zinda hain, 
Fir bhi ek umeed hai sab mein, 
Jo aazadi se sab mein aati hai,
Bandhe se bandhe ko bhi jo,
Hass ke jeena sikhati hai,
Usi umeed ko Yaad karke,
Aaj Sab ko ek baat batata hoon, 
Takleef mein gussa khane wala mai, 
Andar bada ghabrata hoon, 
Bolta nahi ulta kabhi bhi, 
Hosh mein kuch kisi ko, 
Par mann ki shanti ke liye, 
Mai daru ke nashe mein jata hoon, 
Jaanta hoon Yeh upaay nai hai, 
Bas ek temporary escape plan hai, 
Par life Mein jab fail hota hoon, 
Toh yehi mera ultimate plan hai, 
Umeed hai kamyaab ho kar,
Isko escape kar jaunga,
Mano ya na mano par mai, 
Tab azaad ho jaunga!!!!!!!! 

No comments:

Post a Comment