Thursday 21 January 2016

Mujhko bana ke bhula diya


Bachpan mein  akela school gaya,

Jawaani mein  akela college gaya,

Jab zaroorat lagti thi kisi apne ki,

Har koi hi akela chood kar nikal gaya,

Lagta hai aaj kal toh dekh kar khud ko,

Ki bhagwan mujhe bana kar bhool gaya,

Hote hain saath jab apne,

Jaane Kya kya umeed lagate hain ,

Har baar kisi wajah se,

Mujhe sab ruswa kar jaate hain,

Koi bole umeed nahi thi,

Ki tu mujhe na kahega,

Toh koi bole anjane mein ,

Jaane ab tu kya kahega,

Na koi samjhe abhi tak,

Na mai kabhi khud ko samjha,

Harkatein abhi bhi hain aisi hi,

Jaise ho koi chota sa baccha,

Par Naajaane kyo fir ab,

Kisne mujhe itna rula diya,

Ki mann cheekh cheekh kar keh raha hai,

Bhagwaan, Tune bhi mujhe bhula diya!!