Wednesday 20 September 2017

Full volume

Hasta hua chehra yaha

Har kisi ka acha lagta hai

Par kya jane koi

Kitna andar se tadapta hai

Chup rehna bhi ek aadat hai

Jo bheed mein tanha kar jaati hai

Haste hue chehre ke woh

Dil ke aansu chupati hai

Sabse acha us time toh

Lagta hai bas apnaa phone

Jisme full volume tracks baje kar

Ho ja tee hain hum maun

Ki aa jaye samne koi bhi

Bol dete hain, "tu kaun"

Dil hai sheeshe ka

Tut ta rehta hai

Mann hai shant ek dum

Jo har gham sehta hai

Dimaag ki har ek nass mein

Aisa siren bajta hai

Jo full volume par

Tandav karta hai

Fir aati hai woh play list

Jo mood badal jaati hai

Dil aur dimag ki jo

Ek madhur Dhun banati hai

Wo sama hi kuch aur hota hai

Jab apna favorite music baj jata hai

Badi see badi musibat ki bhi woh

Pal bhar Mein paar kar jata hai

Maza toh usi pal Mein aata hai

Jab life Mein success zyada ho aur tension kam

Aur aisa hota tabhi hai jab

Bajte hain favourite gaane full volume!!!!!!