Sunday 15 May 2022

Dastaane Gareebi

Bada simple sa Funda hai,
Samajh der se aata hai, 
Paisa chahe jaise bhi aaye, 
Jispe hota hai woh chata hai,
Gareeb toh raja Dashrath bhi the, 
Jo bhagwan ka Vanvas na rok sake,
Aur gareeb hi hain hum insan bhi sare, 
Jo khushiyan apno ke sath mein na dhoond sake, 
Sochte hain paisa hai sab kuch, 
Bin paise hai koi kuch nahi, 
Jab tak Jeb bhari mai Raja, 
Jeb Khali toh kuch bhi nahi, 
Apne toh woh hote hain jo, 
Har haal mein sath nibhaye, 
Char paise hoon Jebh mein toh Hi, 
Warna duur se Bye Bye, 
Koi bhi kya kare isme ab, 
Sab khel jeebh aur peet ka hai, 
Khate hain dal roti mandi mein, 
Pawri mein mangwate pizza hain, 
Jo de daawat woh uth ta aage, 
Jo bachaye paise woh kanjoos hai, 
Kya batau kya halat hai apni, 
Kai salon se mujhpe party dues hain, 
Kaun nahi badhna chahta hai, 
Aage apni life Mein, 
Ho jate hain khush dekh kar, 
Girl friend apni wife mein, 
Jo kharcha gf pe karna tha, 
Khushi se wife pe karta hoon, 
Keh lo jisne jo kehna hai, 
Konsa kisi se mai darte hoon, 
Toh kya hua luxury nahi hai, 
Ik din woh bhi le aaunga, 
Kami kabhi chodi na mai ne, 
Sath toh aage bhi de jaunga, 
Jitna hai woh zyada nahi hain, 
Na hi hadd se kam hai, 
Upar wale ki dua hai itni, 
Ab bhi kuch karne ka dum hai, 
Usme apni mehnat mila kar, 
Izzat badi kamaunga, 
Paiso ki gareeb toh duniya hai, 
Dil ki Ameeri Dikhaunga,
Sapno mein apno ke mai, 
Apni ummeedein jee jaunga, 
Dikhunga gareeb tab bhi,
Par dil ka ameer kehlaunga !!!!!!!