Monday 4 May 2020

Peena Aur Jeena

Sab kuch Sahi chal raha tha,
Pani peena tha zindagi jeena tha, 
Lag raha tha kameyabi, 
Kuch kadam ki duri par hai,
Dosto ke sath sath, 
Ghar walo ki mujhe fikar hai, 
Sab ki fikar karte karte, 
Jeena ab mai bhool gaya, 
Basic needs pure karne Mein,
Mera har sapna dhul gaya, 
Lagta hai life bas jee raha hoon, 
Gham bhulane ki khatir pee raha hoon,
Matlab nahi hota fir bhi mai, 
Haq ke liye ladta hoon, 
Koi nahi hai aaj ki date mein, 
Jis se ki mai darta hoon,
Chood chuka hoon rona bhi mai, 
Kisi bhi gham ko seh sakta hoon, 
Peeta hoon bas apne liye mai, 
Kisi Se bhi Yeh Keh sakta hoon, 
Jinke liye jeeta hoon mai bas,
Unko meri parwah rehti hai, 
Aankhein meri sab dekh kar bhi, 
Kisi Se bhi kuch nahi kehti hain,
Jisko bhi chaha hai maine, 
Kabhi na mera ho paya, 
Gham toh Yeh bhi hai mera mai,
Samay par kuch na Keh paya, 
Jab mauka mila mujhe Kehne ka, 
Na samay Sahi tha na insan, 
Dil Toh raha tanha hamesha, 
Halal ho gaya mera ab imaan, 
Ghoont ke sharab se dur rehta tha, 
Basa li hai ab peene Mein jaan,
Lakh bol lein ghar wale ab, 
Bina piya na jeena asaan,
Peeta hoon toh jee leta hoon, 
Har gham Dard nikal jata hai, 
Warna is kalyug Mein toh,
Kaha koi kisi ko pata hai,
Beta bole ma se ki mai, 
Biwi baccho ke sath rahunga, 
Tu reh ke akele an kitna, 
Tujhko apna sath mai dunga, 
Sochta hoon aise bete ko, 
Kya haq hai yu jeene ka, 
Is gham mein bhi dhund liya,
Maine bahana peene ka,
Socha jaise bhi jeeta hoon, 
Rakhna Maa biwi ko sath hai, 
Na chahte hue bhi Keh raha hoon,
Mujhe par upar wale ka hath hai, 
Ladai toh sab hi karte hain, 
Samajhna ek ko bhi mushkil hai, 
Kaise kahu ki tukde hazaar hain, 
Fir bhi mere pas mera dil hai,
Yehi umeed hai sab ko ek din, 
Khushiyan itni de jaunga,
Arse Baad bhi Yaad aau toh, 
Muskan mukhde par launga, 
Jeewan kat raha hai aise, 
Kisi Se koi umeed nahi, 
Jo bhi hai jaise hai theek hai, 
Ab mera koi basic need nahi, 
Jaate jaate bas yahi kahunga, 
Jeena tha sirf tere liye, 
Par upar wale ki raza se, 
Peena hai sirf mere liye!!!!!!!