Monday 6 July 2015

Aage badh jana hai

Choti si is hi toh hai yeh zindagi,

Saath toh Sabhi ka nibhaana hai,

Aur Har pal see Har mushqil see,

Aage hi badh jaana hai,

Jab bhi kisi ko kasht mein dekhu,

Ruh meri hi kaamp jaati hai,

Par Joo anand ata hai unhe bachane mein,

Fir see jaan mein jaan aa jati hai,

Haste rehta hoon har mauke par,

Har gham chupana Jaanta hoon,

Pata hai Har haalaat ne,

Bas kuch pal hi tadpana hai,

Aur jaate jaate Sabne hi,

Eek nishaan chood jaana hai,

Bas thoda sabar karke mujhko,

Aage hi badh jaana hai.....