Tuesday 6 November 2018

Shubh Deepawali

Har saal manai jaati hai,
Har Ghar mein khushiyaan lati hai,
Burai par acchai ki yeh,
Reet yaad dilati hai,
Karm karo aur karte jao,
Fal tum bhi kabhi paoge,
Agar kuch na mila aaj toh,
Kal bohot kuch khud laoge,
Bass yaad rakho jo wada kiya,
Usko bakhubi nibhana hai,
Deepawali ka awsar hum ne,
Bass yu hi manana hai,
Apne andar ki burai maar kar,
Sab sang Achha kar jana hai,
Gham bhula kar sab sang unko,
Muaaf kar khush ho jana hai,
Haste khelte sab mein khushi ka,
Deep bass yu hi jalana hai....

Aap sabhi ko seh parivaar,
DEEPAWALI ka yeh shubh awsar Mubarak hoo.....

Aap kaa apna,
Sharan Sachdeva aur uske saare jaankaar..

Thursday 11 October 2018

Tu bhi toh Insaan hai...

Har rah par kathinai hai,
Par sab ka samadhan hai,
Fir bhi haar jaate hain hum,
Kyoki hum insaan hain,
Mushkil keh kar adh jaate hain,
Aage badhne se darr jaate hain,
Haar Humein manzoor nai,
Aur chahiye sab kuch Sahi,
Ek seb kharab ho toh,
Peti kharab kar deta hai,
Ek soch kharab ho toh,
Din barbaad kar deti hai,
Par jab khana hi,
Ek seb hota hai,
Toh 100 mein se,
Ek hi chuna jata hai,
Waise hi khayal chunein toh,
Socho kya kya ho sakta hai,
Namumkin kuch hota nahi,
Nahi hota jab tak nahi hota hai,
Toh ek baar fir lad le na tu,
Dekh sapna kaise pura hota hai,
Sab bane hain ek jaise,
Duniya Mein aaye ek jaise,
Ek ki Jeb khali kyu fir,
Aur kyu duje par anginat paise,
Kaam karte hain saare hi,
Koi kam koi zyada,
Par Kaameyaab hona,
Rehta hai sab ka irada,
Fir kyu kuch peeche rehte hain,
Aur kucch badhte hi rehte hain,
Shareer wahi dimag wahi,
Jeetne ki sab ki soch bhi sahi,
Fir bhi kuch peeche rehte hain,
Har pal mein bass gham sehte hain,
Unko ab jagana hoga,
Fir se yaad dilana hoga,
Jeetna unka adhikar hai,
Haar maan na bekaar hai,
Har koi sab kuch Paa sakta hai,
Jo duniya mein aaya hai,
Akhir duniya ko jeene layak,
Insaan ne hi toh banaya hai,
Har namumkin kaam ko,
Mumkin hum ne banaya hai,
Toh Ho khade ek baar fir,
Aur apne dil ko samjha do,
Koi kaam mushkil nahi,
Har kaam aasaan hai,
Sapne pure karna toh,
Baye haath ka kaam hai,
Jo chahe kar jaa ab tu,
Teri jeet ko tera intezaar hai,
Aur dikha de ab sab ko tu,
Akhir tu bhi toh Insaan hai!!!!!