Tuesday 20 September 2016

Kaunsa yaar aur kaisa pyaar

Na ghar accha Lagta hai na bar
Bada Ajeeb SAA hai yeh vichar,
Dil ki ghanti baja baja kar
Na yaad kare apne yaar na apna pyaar,
Samajh samajh Ke soch Raha hoon
Kiske ab mai sath Rahu,
Chalta Rahu sab see dur hi
Ya kisi aur naye ki Khoj Karu,
Mood bada kharab hai
Ulta jeene ka hisab hai,
Dekh kar khud Ko Lagne Laga hai
Mera toh dimag bhi kharab hai,
Sooch raha hoon maze maze mein
Ab kucch aisa kar jaau,
Har mushqil se har dikkat se
Ab mai aage badh jaau,
Ladte ladte ladna sikhu
Aur khud ko hi yeh samjhau,
Aaj apne har eek gham se mai
Ladh kar aage badh jaau,
Kiske liye aur kya jiyu jab
Koi samajh nahi aa raha,
Jaane kaun baki hai ab bhi
Jo mujhko andar se hai sata raha,
Par jaise mai har haalaat se
Akela hi aage aaya hoon,
Ab toh lagta hai khud ki bhi bas
Kisi baat ka hua sataya hoon,
Jo har bar kisi ki sun kar
Unki baaton mein aa jata hoon,
Aur kucch lamhe bita kar un sang,
Khushiyoon ki yaadein banata hoon,
Aur jaise hi mann bhar jaata hai unka
Mai fir se tanha reh jaata hoon,
Thak haar kar iss hi sooch se,
Poocha dil ne fir se yehi vichar,
Kiske liye kar ta hai sab kucch,
Kaunsa yaar aur kaisa pyaar!!!!!!!!!!!!!!!!!!