Thursday 23 June 2016

Hasna Sikhaya jaaye

Zindagiya beet jati hain logo ki,
Par woh hasna seekh nahi paate hain,
Roote hue ate hain aur,
Roote hue hi chale jaate hain,
Bohot kam hi log,
 hote hain is duniya mein,
Jo khud toh haste hain,
Saath mein baki sab ko bhi hasate hain,
Itna soch kar bhi kya hoga,
Jo hona hai woh toh ho kar rahega,
Par jo har mushqil ko has kar sahega,
Bina kissi dikkat ke woh sada khush rahega,
Kyoki aisa karna aasaan nahi hai,
kyo na iska eek ilaaj nikala jaaye,
Bina kisi ko kiye pareshaan,
Ji bhar ke hasaya jaaye,
Har kisi ki apni eek limit hoti hai,
Jisko kai baar loog paar kar jaate hain,
Aur jaane anjaane mein hi woh,
Kisi ko ruswa kar jaate hain,
Aisa bhi na ho jaaye yaaro, 
Ki hasane ke irade se,
Koi hasta insaan pareshaan ho jaaye,
Aisa na ho isliye tarika hai jo bachne ka,
Jisse yeh sab hataya jaaye,
Doo pal shaanti si baith kar yuhi bas,
Sab ko maze se hasna sikhaya jaaye....

No comments:

Post a Comment