Thursday 6 August 2015

Khud ko rula diya

Uski pehli mulaqaat ne
Mujhe shayar bana diya,
Uske bichadne ke gham ne
Mujhe lekhak bana diya,
Woh aayi dubara jab 
jeevan mein mere
Usne mujhse dosti par 
eek geet likhwa diya,
Par woh antaral kuch
zyada badh rakha tha
Uska naam kisi aur ke 
saath judh rakha tha,
Par kyoki woh eek 
Acchi Doost thi meri
Humara meel Milaap 
baar baar badh raha tha,
Uss dauraan maine sabse
baat karna band kar diya,
Likhna, jeena, Khush Karna
Khud see bhi band kar diya,
Ab na toh woh mere saath hai
Na kisi aur se hoti koi baat hai
Joo milte hain poochte hai tune
Kya apna yeh hal bana diya,
Bade aaraam see bolta hoon unko
Maine Sabko bhula aur khud ko rula diya.

No comments:

Post a Comment