Fir naya bhi le lata hai,
Kisi Se bichadwata hai,
Toh kisi se milwata hai,
Aadatein chudwata hai,
Nayi bhi padwata hai,
Fir 31st December aata hai,
Jo new year resolutions banwata hai,
Sala pure toh koi bhi nahi karta,
Fir bhi almost har koi banata hai,
Last year bhi banaya tha,
Aur usse pichle saal bhi,
Par kya banaya aur kya kiya,
Yaad kabhi kiya hi nahi,
Aaj fir 31st Dec aaya hai,
Maine fir se naya resolution banaya hai,
Socha tha pura kar paunga,
Thoda apna wazan ghataunga,
Thode gusse par kaabu launga,
Naa daaru piyunga na pilaunga,
Par Yeh sab toh mai parso hi bhool jaunga,
Abe aisa karna akhir start kisne kiya,
Kisko pata kaun kab tak jiya,
Sala tareef sun ne ke liye bhi marna padta hai,
Aisi toh Yeh Duniya hai jaha roz ladna padta hai,
Koi lade apni Jaan Le liye,
Toh koi apni shaan ke liye,
Koi lade apni aan ke liye,
Toh koi kisi nuksaan ke liye,
Har koi munafa chahta hai,
Har koi tarakki chahta hai,
Koi saccha pyaar chahta hai,
Toh koi baar baar dhokhe khata hai,
Ab life hai aise hi aage badhti jaati hai,
Kisi ko har roz kisi ko 2 pal khushi de paati hai,
Thakne wale jaldi hai honsla tod jaate hain,
Aur kuch Paagal karodo Mein se,
Ek sab ko hi chalate hain,
Itehas gawah hai normal banda,
Kabhi kuch nai kar pata hai,
Aur har successful bande ki story Mein,
Lakhon failures ka chapter aata hai,
Jeet agar har koi jaata toh,
Job kabhi koi hoti hi nahi,
Har koi hi hota boss apna,
Maid, servent employee bante hi nahi,
Par compromise hi in sab ko paida karta hai,
Toh jeele khul kar har pal ko tu,
Kyo aage badhne see darta hai,
Jab har din hi naya hai,
Toh kyo new year ka wait karta hai,
Kuch na karne se kuch nai hi hota,
Par kuch karne se tu aage badhta hai,
Girega 100 baar bhi toh kya,
Kuch Toh usse bhi seekh jayega,
Haarne walo ko koi nai jaanta,
Aur jeetne wala surkhiyo par chata hai,
Koshish na karne wala gayab ho jata hai,
Karne wala ek din kaameyaab ho jata hai,
Kaameyaabi ek din Mein nai,
Par ek din mil hi jaati hai,
Par Yeh Duniya itni kambakht hai,
Jo har pal mein tum ko girati hai,
Fail har successful banda hua par,
Yeh examples mein tumhe bas failures ginwati hai,
Ab ya toh jee lo,
Ya dheere dheere zeher pee lo,
Ant yehi Hona hai tum zinda ho,
Koi kutta bhi nai poochne wala,
Aur maut par tumhari kar koi kahega,
Yeh tha kuch alag karne wala,
Toh chodo kal par depend hona,
Aaj se apne sapne jee lo,
2-4 peg shayad maine piye hain,
2-4 peg aaj tum bhi pee loo,
Shayad isi bahane tum bhi,
Dil ki baatein Keh paao,
Kuwe ke maindak ki tarah kahi tum,
Kuwe Mein Hi Na reh Jaao,
Kabhi Kabhi kuch Kehne ke liye bhi,
Nashe Mein Jaana padta hai,
Bhool kar duniyadari ko fir,
Apna hi khayal bass aata hai,
Kaise har mood par tum,
Har pal hi Badnaam huye,
Yaar tumhare kaameyaab aur bas,
Tum akele be kaam huye,
Life har kisi ki alag hai,
Maine aisa bhi dekha hai,
Ek bhikhari bekhauf ho kar aur,
Crorepati bank corrupt hone ke darr se sota hai,
Toh kya darr tum ko duniya Mein,
Kya laye the kya le jaoge,
Ab toh gaana bhi aa chuka hai Yeh toh,
Nange hi toh aaye the kya ghanta le kar jaoge,
Dar dar ke jeene se aaj tak,
Kya kuch tumne paya hai,
Mai toh yehi manta hoon maine,
Apna keemti waqt gawaya hai,
Einstein ne greatest scientist ho kar bhi,
16% apna mind use kiya,
Mai har pal dar dar kar jiya,
Ghar walo ne bhi aaj Maar diya tana,
Beta tu 29 saal ka ho gaya,
Behenein teri bahar settled hain,
Har rishtedaar ke ghar mein gaadi hai,
Woh duur ke dada ke bete ka beta bhi mahine ka lakh rupeya kamata hai,
Tu toh bata tune ab tak kya kiya,
Yaha roo raha tha tankhwa 25000 ho kar bhi,
Is mahine 21000 kuch aayi hai,
Toh ek jagah par meri ex hai jo,
Mere purane best friend ki baahon Mein soyi hai,
Mai jaag raha hoon apne,
Biwi bacche ko sula kar,
Farak nahi padta kisi ko,
Hua hay kya kab mera hashar,
Par maine bhi ab kisi ki,
Parwah karni chood rakhi hai,
Mere shabd mere Yaar Hain aur har,
Daaru hi bas meri sakhi hai,
Na shabd jhuth batate hain na,
Daaru jhuth likhwati hai,
Tabhi sali daru har aashiq ko,
Apne Paas khud hi bulati hai,
Jab tak tha baccha mai daaru,
Nahi piunga sochta tha,
Paise bhi udao aur sabse galiyan bhi khao,
Sharabiyon ka Yehi hota hai sochta tha,
Woh toh shukar hai Hai jab ex life se gayi,
Tab Yo Yo naya tha aaya,
Bhai ne char bottle vodka suna suna kar,
Mere andar ke Sharabi ko jagaya,
Warna mai aur sharab toh,
Ek dusre ke kattar dushman the,
Par aaj dil ki baat bolne ki,
Himmat daaru hi deti hai,
Warna baatein bohot hoti hain dil Mein,
Jo Rishton ko bachane ke chakkar Mein Dil Mein Hi rehti hain,
Par ek baat ki daat abhi bhi dunga daaru ki,
Yeh bolti wahi woh hai jo jaha kahi Jaa Sakti hai,
Warna ex apni yaadon Mein rulati hai,
Aur life apne present par rulati hai,
Rote rote thak chuka hoon,
Sabki Bakwaas se pak chuka hoon,
Chahta hoon mai bhi kuch karna,
Ki sab mujh par naaz karein,
Kamau mai bhi itna ki,
Koi mujhse bakwas karne se dare,
Aakhir aaj tak maine kisi ka,
Life Mein Kya bigada hai,
Jo mujhe kaameyaab na hone ka,
Beda sabhi ne uthaya hai,
Kya ho jaata agar mai,
Bhi kaameyaab ho jaata,
Milind, guru aur musewala jaise,
Mera Naam bhi sab ki zubaan par aata,
Bolte sala likhta hai jo,
Sabke sath hota hai,
Fir bhi pata nai kyo aaj tak,
Har koi akele rota hai,
Honey singh ne volume 1 ke,
Liye apni kothi bechi thi,
Aaj launde ke eek gaane ke,
10 laakh se upar aata hai,
Yaha 50 ko likh kar bhi Yeh launda,
25000 aa jaaye dua gaata hai,
Upar wala 25000 bhi,
Saal Mein 4 baar tapata hai,
Aur crore ki property kaise kharidni hai,
Ladka usi sooch Mein duba jaata hai,
Na sapne pure hue na unse ladna,
Na mai mara na mere sapne,
Aaj bhi isi umeed Mein zinda hoon,
Ek din pure honey mere saare sapne,
Kyoki kisi ne bola tha mujhe ki,
Sapne wahi aate hain jo pure ho jaate hain,
Is hi jeewan Mein hum un,
Sab ko pura karte hain jo,
Hum kabhi dekh paate hain,
Mere abhi bhi zinda Mein,
Kafi sapne Baaki hain,
Kuch yar mere Safi gain toh,
Kuch Yaar abhi tak saaki hain,
Daru aur chicken jinki,
Life Mein Aana baki hai,
Par saale sochte hain un par,
Shaq koi nai karta,
Sala wahi kutta hai jo,
Kabhi kisi se nai darta,
Kabhi hum bhi woh kutte the jo,
Kisi Se bhi bhid jaate the,
Doston ki izzat ke liye kisi,
Se bhi hum lash jaate the,
Jinke liye lade the aaj woh,
Anjano se bhi Anjaan hai,
Aur jis se bhide the uske chakkar Mein,
Woh Yaar aaj apni Jaan Hai,
Har kaam karta hai mere favor Mein,
Har naye kaam par bulata hai,
Bhai ne business start kiya mere Naam par 3 mahine Pehle,
Aaj apni kaameyabi ka reason mujhe batata hai,
Sala him hi iklaute woh beep the jo,
Chahte the sab kuch par kuch na kar paaye,
Kaameyab log lade the duniya bhar dee aur,
Hum khud se hi na ladh paaye,
Ladh lete agar sacchai aur sapno se toh,
Shayad aaj hum bhi ek hasti hote,
Na utsate ghar wale aur na hum,
Anjane Mein Hi apni hum basti khoote,
Aaj na woh apney sath hain na,
Aisa koi begana hai,
Jinke sath Humne kabhi,
Khoobsoorat sapna bitaya hai,
Fir bhi sala Yeh,
Dil kehta hai aitbar kar,
Tere jeewan Mein Bhi roshni aayegi
Thoda aur intezaar kar,
Teri isi baat ko sun kar mai bas,
Ek saal aur jee jaata hoon,
Ek mann karta hai ki mai,
Ab toh sala Mar jau,
Ek koshish thi mere ek teri,
Ki har mushkil se dar jau,
Par zinda hoon aaj taki,
Har mushkil paar mai kar jaau,
Zindagi aur maut toh,
Tera ki ek drama hai,
Jis par tune sab ko hi apni,
Marzi se nachana hai,
Nach nach kar thak chuka hoon,
Teri harqato se pak chuka hoon,
Shaqal meri altaf se buri aur,
Dance sunny deol see bura hai,
Fir bhi najane kyo Yeh ladka,
Kaameyabi ke intezaar Mein khada hai,
Kuch ho jaye bas yehi chata Hai,
Future ki soche past Mein jiye aur,
Present mein success chahta hai,
Bass Yehi reason hai jo dil Yeh,
New year resolutions banata hai......
No comments:
Post a Comment