Arsa beet Gaya hai kuch acha likhe,
Zindagi chale ja rahi hai bina kuch sikhe,
Rang saare hain par lagte hain feeke,
Pakwan khane mein bhi lagte hain teekhe,
Kya chal raha hai samajh nahi aata,
Dil ka haal ab koi khul kar nai batata,
Kat te Kat te Kat raha hai,
Ek ek lamha,
Yaad Aati hai gali mein khadi,
Iklauti RX 100 Yamaha,
Darte the kahi gandi na ho jaaye,
Ek ke chakkar mein,
Saare bacche daant khaye,
Ab sala log dil tod jaate hain,
Usme bhi unko Sharam na aaye,
Kitna pyara tha woh Bachpan,
Har kisi se dara karte the,
Sham tak dost hote the jo,
Subah buri tarah ladte the,
Haal chaal punchna bhi bhool chuke hain,
Jo lifetime saath rehne ki baatein karte the,
Bachpan se jawaani ka,
Safar aisa hi hota hai,
Tabhi toh fut fut kar rone wala,
Ab ghut ghut ke Rota hai,
Bachpan mein jo pyaar hota hai,
Jawaani mein bohot far hota hai,
Tabhi toh uski yaad mein,
Ache acho ko udasi ka bukhar hota hai,
Par acha lagta hai,
Un lamho ko fir jee ke,
Aisa hi kuch laga mujhe,
Bachpan ke dosto ke saath pee ke,
Laga jo miss kar raha tha,
Mai khud hi usse dur tha,
Kuch haalaat maine hi bana die the,
Jinki wajah se majboor tha,
Us pal ko fir se jeena,
Har kisi ke bas ki bat nahi,
Phone par sabke sath hoon mai,
Life Mein kisi ke sath nahi,
Jisko banana tha life partner,
Woh toh kabhi partner bhi na bani,
Jisko dost bhi nai banana chahte the,
Wahi life partner bani,
Ab life bhi hai aur wife bhi hai,
Sabse dur reh kar kiya survive bhi hai,
Jo nahi hai woh na sahi,
Waqt unhi kat lenge,
Kuch pal hi aur baki hain,
Jaise taise kat lenge,
Ya toh sab badal de,
Jeene ke kuch pal de,
Ya fir aisa kal de,
Jisme sab kuch mai bhool jau,
Aisa koi vardan de jisme,
Sabke liye mai khushiyan lau,
Na koi ho naraz mujhse,
Na rakhe koi gila shiqwa,
Bin tere bhi mai jiyu aise,
Jaise tujhse kabhi nahi tha mila,
Aisa hi kuch karde prabhu,
Mera ateet badal jaaye,
Ab tak jo kiya hai maine,
Sab 0 par ruk jaaye,
Aur Woh himmat diyo jisse,
Peeche nai sab aage hi jaaye!!!!!!!
Saturday, 16 February 2019
Ab sab badal de....
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment