Roz hi dub bhi jata hai,
Andhera de kar Jane wala,
Sawera le kar aata hai,
Ho jata Hai koi ameer,
Koi gareeb reh jata hai,
Par ek cheez hai,
Jo hai toh sab ke sath,
Par har koi uska nai ho pata hai,
Kehte toh Yeh sab hain,
Par manta koi nai,
Waqt toh sab ka aata hai,
Koi use samajh kar par ho jata hay,
Koi nasamajh wahi reh jata hai,
Koi bahane bana kar aage badh jata hai,
Koi bahane bana kar wahi reh jata hai,
Mauke toh milte rehte hain sab ko,
Par koi koi hi unke paar jata hai,
Ameer ho ya gareeb,
Waqt toh sab ka aata hai!!!!!
Bachpan se sunte aa rahe hain,
Har kutte ka din aata hai,
Jawaani mein aa kar suna,
Kamino ka zamaana aata hai,
Par mai thehra gussail aur seedha,
Fir bhi kehta hoon waqt sabka aata hai,
Toh kya hua jo thoda gareeb hoon,
Kafiyo se toh ab bhi achha hoon,
Mana hoon ek bete ka papa,
Par apni generation mein toh baccha hoon,
Mana thode aib hain mujh mein,
Par fir bhi sab se seedha hoon,
Lakh kamiya hone ke Baad bhi,
Apne se Pehle dusro ke liye jeeta hoon,
Nahi karta ghamand is baat ka bhi,
Par kai baar naraaz ho jata hoon,
Chah kar bhi jab nai mujhse roya jata,
Utha ke bottle kuch zyada pee ke so jata hoon,
Dehkta rehta hoon sapne kameyab hone ke,
Par roz mara ki zindagi mein kho jata hoon,
Hota Hai dukh dusro ki kameyabi dekh kar,
Par fir thoda aur pee kar so jata hoon,
Jane kya chahta tha mai,
Un hi khayalo mein kho jata hoon,
Lagata hoon umeed age badhne ki,
Par najane kaha kho jata hoon,
Lagta hai jab sab theek ho jayega,
Najane kya ho jata hay,
Apne haq mein ane wala,
Waqt har baar kyo badal jaate hai,
Par 100 bar bhi tut kar najane,
Dil kyo yehi dohrata hai,
Aaj nahi toh kal Sahi par,
Waqt Sabhi ka aata hay,
Yehi soch kar har baar mai,
Thoda aur jee jata hoon,
Dil ko halka karne ki khatir,
Fir thodi si pee jata hoon,
Chood dunga ek din Isko bhi,
Itehaas yehi dohrata hai,
Kyoki mano ya na mano lekin,
Waqt toh sab ka hi aata hai!!!!!!!!!!!!!!!
No comments:
Post a Comment