Albelo ka mastano ka,
Jisne bhi jab bhi ungli uthai,
Usko usi ke hisab se roka,
Am aadmi ko kabhi rajyo ne,
Toh kabhi raj neeti ne diya dhokha,
Raj kiya hum pe kabhi mughlo ne,
Toh kabhi Angrezo ne jam kar loota,
Sone ki chidiya kehlane,
Wale desh ka har sapna toota,
Ameer bane Arab pati,
Gareeb bheekh maang ne par majboor,
Middle class samajh hi nai paye,
Gardan jhukaye ya dikhaye guruur,
Kisan chalate peet sab ka,
Wahi de rahe hain Jaan,
Aaj bhi gaddar bhare hue hain lakhon,
Jo lut te rehte hain humari shaan,
Sikhaya tha grantho ne humare,
Karo auraton ka man samman,
Jo dale buri nazar bhi un par,
Pure kunbe ki unke le lo Jaan,
Par aazadi ke 73 saal baad bhi,
Roz Hazaaron auraton ka ho raha hai apmaan,
Mere bete ko chaiye bahu lakhoon mein ek,
Chahe beta kare uska bhari sabha mein apmaan,
Pyaar Kiya koi chori nahi ki,
Fir bhi na de paye pati patni ko samman,
Kyo mili thi azaadi Humein hum bhool chuke hain,
Jinse payi thi azaadi unke rang mein hum dhul chuke hain,
Pichle 72 salo mein hum ne,
Seekha hai bas dhokha dena,
Apne Matlab ke liya Jeena aur,
Matlab pura hote hi sabko kat dena,
Par pichle ek saal Mein humare,
Chai hai bas ek bimari Corona,
Jisne chahte hue na chahte hue bhi,
Har kisi ko sikha diya hai kisi ek baat par rona,
Jo apne kaam se kehte the ki kameyab hain,
Aaj unpe bhi anchahe karze hazar hain,
Dar rahe hain log hath milane mein,
Jo gale milne se bhi peeche na hat te the,
Ek baar koi aa jaaye positive toh,
Usko negative hone ke bawajud bhi milne mein fat ti hai,
Kya kahe kisi ko ab toh,
Sab mein dar sirf Corona hai,
Aur na chahte hue bhi,
Sab mein Corona ka rona hai,
Khel jati hai rajneeti aaj bhi,
Apni bahumat ka khel,
kabhi kare section 370 bhi pass,
Toh kabhi kare section 144 bhi fail,
Elections aaye toh rally nikal do,
Waise koi khushi gham mein na ikatha ho,
Betiyo ko free education aur parental property dedo,
Aur bete ki Shaadi ke Baad Maa Baap ko Wridh aashram bhej do,
Kahi toh koi dikkat hai yaaron,
Kyon hum unko apnane se dar te hain,
Jisne di zindagi use satayein,
Kuch samay ke pyar par marne ke wade karte hain,
Duniya abhi bhi dar rahi Corona se,
Apne desh mein abhi bhi rajneeti chalu hai,
Kaise ab samjhaun mai sab ko,
Dil Mein unke abhi bhi unki shalu hai,
Aur tumhare na chahte hue bhi,
Saansein tumhari abhi bhi chalu hain,
Dawa abhi tak bani nahi par,
Khatma iska sab kar rahe hain,
Jeete toh hum roz hain par,
Positive ane ke dar mein roz mar rahe hain,
Kaha Humein angrezo ne sikhaya tha,
Roz subah Uthna aur angrezi seat par fresh hona,
Yaha toh har pal media dikha rakhi hai,
Increase of everyone's rona coz of increasing count of Corona,
Dar na chaho toh Je bhar ke dar lo,
Warna har weekend par 2-2 peg bhar lo,
Suna hai Hum ne toh ki,
70% alcohol can kill the Corona,
Toh bas 2 peg khushi se le lo 45 ml ke,
Toh raho khush aur kyo rona,
Sarkar badalti rehti hai public ke josh se,
Jo bhi chahte ho karna karo pure hosh se,
Modi lade apne liye,
Apne liye hi ladega Rahul,
Tum dekho kaun tumko de kaameyaabi,
Badal lete Sab ik pal mein changul,
Yaad rakhna kyo mili thi aazadi Humein aur,
Mili thi kin ki badaulat,
Samay jo dega sath tumhara,
Anginat tum par bhi hogi daulat,
Hadbadi mein na lena faisla tum ab,
Soch parakh kar karna ab tum karna vishwas,
Na chahte hue bhi ab toh,
Tum se hi hai pure desh ko aas,
Yaad rakhna har mauke par,
Sarkaar Yaad dilaye gi Corona,
Par jo tum tayyar ho ladne ko toh,
Kya Corona aur kya hi uska rona...........
No comments:
Post a Comment