Garaj garaj ke rimjhim barse,
Aisa mausam aaya hai,
Aaj phir Badi muddat se,
Maine use bulaya hai,
Pal bhar mein badlaaw dikha kar,
Sankeet Jo isne dikhaya hai,
Lagta hai jaise ke Ishwar ko,
Yaad yeh banda aaya hai,
Chahat iske andar fir se,
Aayi hai badlaav ki,
Jaane kis Aur ne isko,
Umeed ki nayi bauchaar Dii,
Har pal Kuchh alag karne ki sooch,
Kar rahi hai Ise pareshaan,
Aur dubara woh baat dohrana,
Kabhi nahi thi is ki shaan,
Fir ek nayi soch ko Lee kar,
Nagma Jo isne banaya hai,
Khushiyoon ki bauchaar bhara yeh,
Mausam fir see aaya hai!!!!!!!!!
No comments:
Post a Comment