Wednesday, 23 December 2015

Teri Yaad

Teri Yaad Mein ae meri jana,
Aaj Dil Mera bohot khush hai
Jaane yeh kya hai jana,
Jo mai aise ghoom raha hoon,
Pe nahi hai ek boond bhi,
Fir bhi lagta hai jaise jhoom rahaa hoon,
Tere naa hone ka mujhe abhi gham nahi
Hu mai kisi se bhi kam nahi,
Saath na ho kar bhi saath hai tera
Jaane kis ki dua ka naam hai tera
Khoj ki soch se ab mai khoob chala hoon
Apne Hi sapno mein ab mai doob chala hoon
Fark nahi pad raha ki kaun kya kahega
Yaar tera ab bas kuch aise hi rahega
Bin terre bhi mai khush dikh raha hoon
Ache mood mein aaj mai yeh likh raha hoon,
Janta hoon thoda naadaan hoon
Eek theek thaak SA insaan hoon,
Choti choti baaton par bhadak jaata hoon
Apna nuksaan khud ki karta jaata hoon,
Jan kar bhi Sab Kucch theek kar nahi pata
Fir ghaltiyo ki saza bhi khud ko ya apno ko hi deta hoon,
Teri yaad mein jaane aisa kyo kar raha hoon
Par aaj lag raha hai jaise andar see marr raha hoon,
Kucch toh saath dee mera mujhe Milne SE pehle
Kucch accha kar pau mai jalne see pehle,
Teri yaad ne mujhe zinda toh rakha hai
Par har khushi see koso dur rakha hai,
Aaj Teri yaad mein mai Jo likh raha hoon
Gham chupane ke koshish kar raha hoon,
Dua hai tujhse jald hi milunga
Aur us pal mein hazaro zindagiya jee Lunga,
Tab tak ke lie apna dhyaan rakh raha hoon
Teri yaad mein hi Sab mai ab kar raha hoon.......

Thursday, 6 August 2015

Khud ko rula diya

Uski pehli mulaqaat ne
Mujhe shayar bana diya,
Uske bichadne ke gham ne
Mujhe lekhak bana diya,
Woh aayi dubara jab 
jeevan mein mere
Usne mujhse dosti par 
eek geet likhwa diya,
Par woh antaral kuch
zyada badh rakha tha
Uska naam kisi aur ke 
saath judh rakha tha,
Par kyoki woh eek 
Acchi Doost thi meri
Humara meel Milaap 
baar baar badh raha tha,
Uss dauraan maine sabse
baat karna band kar diya,
Likhna, jeena, Khush Karna
Khud see bhi band kar diya,
Ab na toh woh mere saath hai
Na kisi aur se hoti koi baat hai
Joo milte hain poochte hai tune
Kya apna yeh hal bana diya,
Bade aaraam see bolta hoon unko
Maine Sabko bhula aur khud ko rula diya.

Sunday, 2 August 2015

Moumita

A girl always wants some one,

Who cares for him to most caring extent,

And a boy wants a girl,

Who helps him to most caring extent,

It's only one thing,

Which both of them wants,

Understanding each other,

When no body else wants,

They want mutual understanding,

Amongst each other,

So that they can do anything,

Which no one bother,

As they are together,

They understand each other,

And there is nothing,

Which they really bother,

And as they are happy,

Nothing else they want,

And no thing is there,

Which they can't,

Do in their life,

And I know one thing,

They will happily survive.

Monday, 6 July 2015

Aage badh jana hai

Choti si is hi toh hai yeh zindagi,

Saath toh Sabhi ka nibhaana hai,

Aur Har pal see Har mushqil see,

Aage hi badh jaana hai,

Jab bhi kisi ko kasht mein dekhu,

Ruh meri hi kaamp jaati hai,

Par Joo anand ata hai unhe bachane mein,

Fir see jaan mein jaan aa jati hai,

Haste rehta hoon har mauke par,

Har gham chupana Jaanta hoon,

Pata hai Har haalaat ne,

Bas kuch pal hi tadpana hai,

Aur jaate jaate Sabne hi,

Eek nishaan chood jaana hai,

Bas thoda sabar karke mujhko,

Aage hi badh jaana hai.....

Tuesday, 23 June 2015

Aetraaz Kya hoga

Dil ki suna karo ae yaro mere

Pata chale ke kisi ko aetraaz kya hoga,

Jab subah itni rangeen toh 
Sham ka mizaaz Kya hoga,
Hain saare hi Khush toh
Kisi ko aetraaz Kya hoga,

Mauj masti ka mahool bana hai
Gham ki kisi ko ehsaas kya hoga ,
Jab kam ho sabki raza mandi se
Toh kisi ko aetraaz kya hoga,


Tuesday, 26 May 2015

Mai nahi Roota

Kabhi Koi dost nahi hota,
Kabhi apna pyaar nahi hota,
Kabhi khud see ladne ko,
Dil apna tayyar nahi hota,
Roota rehta hai Koi,
Eek choote see kone mein,
Aur duniya ko batata rehta hai,
Ke Mai kabhi nahi roota !!!!!!!!!

Tuesday, 24 March 2015

Hasna sikhaya jaaye

Har pal ko Har lamhe koo

Kuch aise bitaya jaaye,

Ki jag jeewit Har shakhseeyat ko,

Hasna sikhlaya Jaye,

Hasne hasane wali,

Duniya bohot hi chooti hai,

Aur tanhayi mein aksar sabki,

Aankhein jee bhar kar rooti hain,

Toh kyo naa un bebas aankhoon ka,

Paimaana yuu bhagaya jaaye,

Bhula kar Har zakhm ko aage,

Badh kar hasna sikhaya jaaye,

Haste haste Kat Jaye raste,

Har koi farmaata hai,

Par Har koi raste mein kyo,

Tanha fir chood jaata hai,

Kyoki yeh dastoor hai aisa,

Kii Sab Kuchh badal hi jana hai,

Isliye hi yeh koshish ab kii,

Khushi ke Palo ko chupana hai,

Aise kone mein jeewan ke apne,

Ki jab chahein unhe paaye,

Aur bina dikkat ke Koi,

Gham see aage badh jaayein,

Mana rah kathin hai kintu,

Chalte Iss par humein jaana hai,

Aur Badi hi aasaani see,

Khush reh kar Sab ko dikhana hai ,

Don't worry be happy,

And feel a healthily nappy :-) :-)

Tuesday, 24 February 2015

Mausame-mazdaar

Garaj garaj ke rimjhim barse,
Aisa mausam aaya hai,
Aaj phir Badi muddat se,
Maine use bulaya hai,
Pal bhar mein badlaaw dikha kar,
Sankeet Jo isne dikhaya hai,
Lagta hai jaise ke Ishwar ko,
Yaad yeh banda aaya hai,
Chahat iske andar fir se,
Aayi hai badlaav ki,
Jaane kis Aur ne isko,
Umeed ki nayi bauchaar Dii,
Har pal Kuchh alag karne ki sooch,
Kar rahi hai Ise pareshaan,
Aur dubara woh baat dohrana,
Kabhi nahi thi is ki shaan,
Fir ek nayi soch ko Lee kar,
Nagma Jo isne banaya hai,
Khushiyoon ki bauchaar bhara yeh,
Mausam fir see aaya hai!!!!!!!!!