Monday, 23 June 2025

Dastane Daaru!!!!

Dil Mera bhi maasoom tha, 
Har pal ko khul ke jeeta tha, 
Koi aisa shaunk nahi tha ki,
Kabhi bhi daru Peeta tha, 

Dil Mera bhi maasoom tha, 
Har pal ko khul ke jeeta tha, 
Koi aisa shaunk nahi tha ki,
Kabhi bhi daru Peeta tha, 

Chahta nahi tha jise hath lagana,
Bin uske bhi mast mai jeeta tha, 

Dil Mera bhi maasoom tha, 
Har pal ko khul ke jeeta tha, 
Koi aisa shaunk nahi tha ki,
Kabhi bhi daru Peeta tha, 

Chahta nahi tha ki daru piyo ya,
Cigarette Ko bhi haath lagau,
Simple sober zindagi jee kar, 
Kyo na mai bhi Aage badh jau,

Chahta nahi tha ki daru piyo ya,
Cigarette Ko bhi haath lagau,
Simple sober zindagi jee kar, 
Kyo na mai bhi Aage badh jau,

Soch meri par rakh ke dhyan,
Kafi mujhse jalte the, 
Jaane anjaane mein bhi kya, 
Crorepati mujhse palte the, 

Soch meri par rakh ke dhyan,
Kafi mujhse jalte the, 
Jaane anjaane mein bhi kya, 
Crorepati mujhse palte the, 
 
Mere jigari yaar the jo bhi, 
Meri parwah karte the, 

Mere jigari yaar the jo bhi,
Meri parwah karte the, 

Jaane ya anjaane mein kya, 
Kuchh log mujhse sadhe the, 

Soch meri par rakh ke dhyan,
Kafi mujhse jalte the, 
Jaane anjaane mein bhi kya, 
Crorepati mujhse palte the, 
 
Jaane ya anjaane mein kya, 
Kuchh log mujhse sadhe the, 

Meri har naakaami ki kya, 
Manokamana karte the, 

Jaane anjaane mein bhi kya, 
Kuchh log mujhse sadte the ???

Dil Mera bhi maasoom tha, 
Har pal ko khul ke jeeta tha, 
Koi aisa shaunk nahi tha ki,
Kabhi bhi daru Peeta tha, 

Dil Mera bhi maasoom tha, 
Har pal ko khul ke jeeta tha, 
Koi aisa shaunk nahi tha ki,
Kabhi bhi daru Peeta tha, 


Dil Mera bhi maasoom tha, 
Har pal ko khul ke jeeta tha, 
Koi aisa shaunk nahi tha ki,
Kabhi bhi daru Peeta tha!!!!!

Saturday, 21 June 2025

Sach se aage!!!!

Dil rehta hai gham Mein,
Dimaag Rehne nahi detaa, 
Zubaan par hain kayi baatein, 
Dimaag Kehne nahi detaa, 
Kuch apne hain kuch paraaye, 
Sagaa koi bhi nahi, 
Dil hota left Mein hai,
Par lagta hai har baar sahi,

Dil rehta hai gham Mein,
Dimaag Rehne nahi detaa, 
Zubaan par hain kayi baatein, 
Dimaag Kehne nahi deta, 
Kuch apne hain kuch paraaye, 
Sagaa koi bhi nahi, 
Dil hota left Mein hai,
Par lagta hai har baar sahi, 

Dil kehta hai Yeh kar, 
Dimag ulti taraf double speed Mein bhage, 
Jane kyu par koi Keh raha hai, 
Kabhi toh soch sahi galat se bhi aage,

Dil kehta hai Yeh kar, 
Dimag ulti taraf double speed Mein bhage, 
Jane kyu par koi Keh raha hai, 
Kabhi toh soch sahi galat se bhi aage,

Dil rehta hai gham Mein,
Dimaag Rehne nahi detaa, 
Zubaan par hain kayi baatein, 
Dimaqg Kehne nahi detaa, 
Kuch apne hain kuch paraaye, 
Saga koi bhi nahi, 
Dil hota left Mein hai,
Par lagta hai har baar sahi,

Soch samajh kar kuch karna chahta hoon, 
Khud se aage badhna chahta hu, 
Jane kaha mai ruk Jaata hoon, 
Khushi se zyada dukh paata hu, 
Farak kuch padhne dena nahi chahta, 
Par farak padh jata hai, 
Dil aur dimag ki is nok jhok Mein, 
Shareer aksar bigadh Jaata hai, 
Jo kabhi karne ki sochi nahi thi,
Aksar wahi kyo mai kar Jaata hu, 
Na pee kar ek arse tak kyo, 
Fir peene ki aur badh Jaata hu, 
Pata hai Siraf nuksaan hi hoga, 
Koi theek nahi fir kaam bhi hoga, 
Par fir bhi kyo mai pee Jaata hu, 
Sadiyoon ka achha sochta sochta, 
Ek pal Mein Neeche aa jata hu, 
Mauke talashata rehta hu mai,
Kuchh jugad karke sharab pee lu,
Bohot reh liya sab ke liye hosh mein,
Kuchh pal sirf ab apne liye jee loon, 

Mauke talashata rehta hu mai,
Kuchh jugad karke sharab pee lu,
Bohot reh liya sab ke liye hosh mein,
Kuchh pal sirf ab apne liye jee loon, 

Mauke talashata rehta hu mai,
Kuchh jugad karke sharab pee lu,
Bohot reh liya sab ke liye hosh mein,
Kuchh pal sirf ab apne liye jee loon, 

Dil rehta hai gham Mein,
Dimaag Rehne nahi detaa, 
Zubaan par hain kayi baatein, 
Dimaag Kehne nahi deta, 
Kuch apne hain kuch paraaye, 
Sagaa koi bhi nahi, 
Dil hota left Mein hai,
Par lagta hai har baar sahi, 

Dil kehta hai Yeh kar, 
Dimag ulti taraf double speed Mein bhage, 
Jane kyu par koi Keh raha hai, 
Kabhi toh soch sahi galat se bhi aage,

Dil kehta hai Yeh kar, 
Dimag ulti taraf double speed Mein bhage, 
Jane kyu par koi Keh raha hai, 
Kabhi toh soch sahi galat se bhi aage,

Dil rehta hai gham Mein,
Dimaag Rehne nahi detaa, 
Zubaan par hain kayi baatein, 
Dimaag Kehne nahi deta, 
Kuch apne hain kuch paraaye, 
Sagaa koi bhi nahi, 
Dil hota left Mein hai,
Par lagta hai har baar sahi, 

Dil rehta hai gham Mein,
Dimaag Rehne nahi detaa, 
Zubaan par hain kayi baatein, 
Dimaag Kehne nahi deta, 
Kuch apne hain kuch paraaye, 
Sagaa koi bhi nahi, 
Dil hota left Mein hai,
Par lagta hai har baar sahi !!!!