Sab ke dil mein tu hi chhaye,
Jis bhi rup mein aaye tu bas,
Apne bhagton ke kasht mitaye,
Jeewan jis jis ko diya hai,
Sab ke kasht par lagaye,
Yehi ek binti hai tujhse,
Garibi sab se dur bhagaye,
Jeewan diya badi kismat se,
Toh kyo isme bhatkata hay,
Rula kar paida karta hai sab ko,
Aur maut pe apno ko rulata hai,
Karwa sabse zinda hain jab tak,
Bas khushiyo ka pal hi aata hai,
Gham aaye bhi toh bas kuch pal,
Jo beet gaya aaj na aaye kal,
Bhool jaaye har gham ko hum sab,
Bas khush ho kar har pal bitayein,
Gile shiqwe hain jo apno se,
Unko bhool kar bas khushi manayein,
Karo kuch aisa prabhu ji,
Gham sab apne bhool jayein,
Garibi mein je rahe hain jo bhi,
Zarooratein apni puri kar paayein,
Aaye the rote rote Duniya mein,
Haste haste duniya se jayein,
Na ho Garibi kisi ko bhi bilkul,
Har kaam har koi khud se kar paaye,
Chahe jo bhi karaaye humse,
Par bhagwaan humein gareeb naa Banaye!!!!!!!