Bhukha hi reh gaya,
Har gham ko kar mushqil ko,
Akela hi seh gaya,
Jis ki bhi parwah kari,
Usi ne jee bhar ke rulaya,
Aur dil tha majboor itna,
Kisi ko kuch keh na paya,
Maa ne bola tu mere liye nai kamata,
Biwi ne tana mara tu mere liye nai lad pata,
Bas zinda hoon yehi soch kar Ae khuda,
Beta abhi tak bool nahi pata,
Ki papa tu mujhe khush rakh nahi pata,
Gham bhari is zindagi mein,
Badi Mushkil se milti hai, yu
Yeh izzat bhi Ae yaaron,
Paison ke bharose chalti hai,
Dua karta hoon tum itne raho ki,
Apni nazar mein kamyaab raho,
Taarif karo toh chalis mein karna,
Burai bas bure ke sath hi karo,
Sadiyo bhar mehnat kar ke bhi koi,
Ratti bhar izzat hi kamata hai,
Toh koi ek lamhe mein hi bas,
Nazron se bhi utar jata hai,
Ant mein bas itna hi kahunga,
Bin Matlab na ki ladai hai,
Kuch Toh punya kiye honge jo,
Tumhari nazron mein izzat kamai hai!!!!!!!