Jo bhi mujhe Jaan te hain,
Itna pata hai woh,
Mujhe Apna maante hain,
Jo bhi mai kehta hoon,
Sab wahi maante hain,
Dhokha nahi deta mai,
Yeh bhi sab jaante hain,
Jaan na Maan na,
Yeh mera usool hai,
Rab tera har faisla,
Mujh Ko qubul hai,
Teri har baat ko,
Amal mein launga,
Ab mai bhi,
Kaameyaab ho jaunga,
Galtiya jo ki thi,
Seekh unse launga,
Dekhte hi dekhte,
Duniya mein chaunga,
Delhi ka Rehne wala,
World tour pe jaunga,
Expo ke bhi,
Nazare le aunga,
London Paris,
Har jagah jaunga,
Jaha jaha jaunga,
Har jagah chaunga,
Kis se poochun,
Aur kaise poochun,
Kiski madad ab,
Kaise mai paunga,
Par najane kyo,
Dil yehi kehta hai,
Badi jaldi mai,
Kaameyaab ho jaunga,
Chote chote sapne,
Jo bhi maine dekhe the,
Sab ko jald,
Amal kar jaunga,
AUR fir dheere dheere sare,
Sapne mai poore kar jaunga,
Aaj fir dil ne,
Mere yehi bola hai,
Har sapne ko,
Pura kar jaunga,
Dekhte hi dekhte,
Jaldi se ab mai,
Jeewan mein apne,
Kameyab ho jaunga.........