Bas itni si kahani hai,
Jo atak gaya woh moti hai,
Jo tapak gaya woh pani hai,
Atak atak ke motiyo ka,
Khazana humare Paas Hai,
Gham bhare is zalim jag Mein,
Dikkat sab ke pas hai,
Jis ke pas bhi jana chahu,
Dukhda wahi sunata hai,
Dilasa toh dete hain saree,
Akela par dil reh jata hai,
Soch ta hoon sun kar sab ko,
Bhala sabhi ka kar jau,
Sang kisi ke ab kya jeena,
Tanha khud Mein mar jau,
Yeh Jenna bhi kya Jeena hay,
Sapne abhi bhi hazar hain,
Par dekhu mai Jebh jo apni,
Har sapna lagta bekar hai,
Mar abhi mai sakta nai hoon,
Zimmedari batheri hai,
Soch ta hoon kafiyo se,
Acchi kismat meri hai,
Bin jute liye nikal du saal toh,
Thoda sa dil machalta hai,
Par bin pair ka hi dikh jaye koi toh,
Khayal dil ka badalta hay,
Karodo se kam mila hai mujhe toh,
Lakhon se ab bhi zyada hai,
Har slum dog ka aaj ki date mein,
Millionaire ban ne ka iraada hay,
Toh kya hua jo nahi bane hum,
Slumdog se millionaire,
Aaj bhi apne bathere hain jigri,
Jo karte hain Meri care,
Kismat ek din Mein Nahi par,
Ek din badal toh jati hai,
Beshumaar mehnat karo tum,
Rang wahi bas lati hai,
Rukhe sukhe patto se ab,
Harayali bhi lani hai,
Gham bhare aansuo ki,
Bas itni si kahani hai,
Jo atak gaya woh moti hai,
Jo tapak gaya woh pani hai.......