Tuesday, 18 August 2020

Tera bhai abhi bhi peeta hai......

Sab kuch pas hote hue bhi,
Ghut ghut ke jeeta hai, 
Chutti ho kisi bhi din, 
Tera bhai abhi bhi peeta hai,

Sab kuch pas hote hue bhi,
Ghut ghut ke jeeta hai, 
Chutti ho kisi bhi din, 
Tera bhai abhi bhi peeta hai, 

Zindagi hai do pal ki,
Char din usme jeeta hai, 
Sab kuch pas hote hue bhi,
Tera bhai abhi bhi peeta hai, 


Ghut ghut ke jeeta hai, 
Chutti ho kisi bhi din, 
Sab kuch pas hote hue bhi, 
Tera bhai abhi bhi peeta hai,

Gham bhare hain hazaron, 
Sab ko dil Mein seeta hai,

Gham bhare hain hazaron, 
Sab ko dil Mein seeta hai,
Sab kuch pas hote hue bhi,
Tera bhai abhi bhi peeta hai,

Lock down aa gaya, 
Theke band kara gaya, 
Hafta khatam hone se Pehle,
Sasi ka number aa gaya,
Pohonch Gaya Naka bandi mein, 
Bottle apni lene do, 
Maqsad hai apna toh seedha, 
Mast piyo aur peene do, 
Kabhi Khao tum chicken kebab, 
Toh kabhi khao tum paneer,
Yaad rakhna sab kehte hai ki, 
Ranjhe tak ki hui na heer, 
Pyaar Kiya toh karte jao, 
Adha toh keh layega, 
Jo dena hai upar wala, 
Qismat Mein likhta jayega, 
Nahi mila toh samajh lena, 
Kuch usse behtar bhi hoga,
Do peg ko tarasne wale tu bhi, 
Bottle ka haqdaar hoga, 


Kyo darna fir aaj se tujhko, 
Waqt sab badal hi jaayega, 

Jab khud se umeed tu chood dega,
Tab upar wala aayega, 
Haath pakad kar god Mein Le kar,
Rah fir wahi dikhayega, 

Zindagi bhar ke failure,
Tu bhi qameyab ho jayega, 

Sab kuch pas hote hue bhi,
Ghut ghut ke jeeta hai, 
Chutti ho kisi bhi din, 
Tera bhai abhi bhi peeta hai,

Sab kuch pas hote hue bhi,
Ghut ghut ke jeeta hai, 
Chutti ho kisi bhi din, 
Tera bhai abhi bhi peeta hai!!!!!!!!!!?!!! 

Friday, 14 August 2020

Aazadi

India azad hua angrezo see,
Pakistan azad hua India se, 
Par woh din kab aayega, 
Jab mummy azad hogi kitchen se, 
Papa ghar ke kaamo se, 
Bhai  apne farzo se,
Behne atyacharo se,
Biwi azad hogi majbooriyo se,
Aur pati apni sari taqleefo se, 
Kehna bada Asaan hai,
Hum saare azaad hain,
Par sab ko pata hai, 
Kaun kaha bandha hai, 
Azaad toh woh ruh bhi nai, 
Jo hum sab ke andar hai,
Azaad woh umeed bhi nai, 
Jis ki wajah se hum zinda hain, 
Fir bhi ek umeed hai sab mein, 
Jo aazadi se sab mein aati hai,
Bandhe se bandhe ko bhi jo,
Hass ke jeena sikhati hai,
Usi umeed ko Yaad karke,
Aaj Sab ko ek baat batata hoon, 
Takleef mein gussa khane wala mai, 
Andar bada ghabrata hoon, 
Bolta nahi ulta kabhi bhi, 
Hosh mein kuch kisi ko, 
Par mann ki shanti ke liye, 
Mai daru ke nashe mein jata hoon, 
Jaanta hoon Yeh upaay nai hai, 
Bas ek temporary escape plan hai, 
Par life Mein jab fail hota hoon, 
Toh yehi mera ultimate plan hai, 
Umeed hai kamyaab ho kar,
Isko escape kar jaunga,
Mano ya na mano par mai, 
Tab azaad ho jaunga!!!!!!!!