Monday, 27 February 2017

Kuch pata na chala

Mai kaha kho gaya,
Kuch pata na chala,
Kab kaha so gaya,
Kuch pata na chala,
Dil Mera ro pada,
Kuch pata na chala,
Mai kaha kho gaya,
Kuch pata na chala,
Kab kaha so gaya,
Kuch pata na chala,
Dil Mera ro pada,
Kuch pata na chala,

Rote rote Jana,
Mai hua diwana,
Har baar ki tarah,
Mujhe aaya na batana,
Na baitha gaya tanha,
Toh likh dala yeh fasana,
Mujhe saath jeewan kaa,
Sang tere hai bitana,
Har sapne ko humare,
Pura kar ke hai dikhana,
Kahe jise jo kehna hai ab toh,
Mujhe hai aage badh jana,
Tere Liye ab toh,
Thana hai is Dil ne mere ,
Mujhe toh KAAMEYAAB,
Ho KAR hai dikhana,
Aur apna jeewan Saathi,
Bas tujhe hai banana,

Mai kaha kho gaya,
Kuch pata na chala,
Kab kaha so gaya,
Kuch pata na chala,
Dil Mera ro pada,
Kuch pata na chala,
Mai kaha kho gaya,
Kuch pata na chala,
Kab kaha so gaya,
Kuch pata na chala,
Dil Mera ro pada,
Kuch pata na chala!!!!!

Tuesday, 14 February 2017

I, me aur mai.........

Akele hi mai aaya tha,
Akele hi wapas jana hai,
Jaane kisne kab tak mera,
Kitna saath nibhana hai,
Aaya hoon is duniya mein,
Mai kisi khaas maqsad se,
Us maqsad ko sirf Bhagwan jaante hain,
Is naacheez ko duniya waale,
Sharan Sachdeva ke naam se jaante hain,
Pata Hai sabko ki yeh,
Ladka thoda ajeeb hai,
Phuti kismat se bhi gaya,
Guzra iska naseeb hai,
Sochta hai bohot kuch yeh,
Par karta yeh kuch nahi,
Kafiyo ke dil dukhaye isne,
Jiski thi kisi ko umeed nahi,
Shayad iska safar bas,
Yahi tak ka tha,
Jo Jane anjane mein isne,
Apni Maa ko rula diya,
Jiski wajah se jeeta tha jab,
Usko hi na hasa paya,
Toh kya bacha jeewan mein iske,
Jo kabhi na ubhar kar aya,
Fir wahi laga hai ab toh,
Acha hai mai na hota,
Na kisi ko koi umeed hoti,
Na dil kisi ka tuta hota,
Ghalati sari meri hai,
Sab par bharosa karta hoon,
Kabhi bhi kahi bhi,
Over react karta hoon,
Aaj laga ki na hi hou,
Toh sab ka shayad acha hoga,
Bina Sharan Sachdeva ke,
Uska parivaar bhi khush rahega,
Kyonki acho ke beech mein jab,
Ek bura aa jata hai,
Mehnati logo ki taqdeer,
Woh barbaad kar jata hai,
Aisa karne se toh accha,
Iske bina hi sab reh lenge,
1-2 din dukhi ho kar,
Baki life me khush honge,
Aur Kyoki yeh niyam hai azaadi ka,
Ki woh Kurbani mangti hai,
Lo kurban hua ladka yeh,
Jise duniya dukhi sa pehchanti hai,
Mat karna afsos koi,
Iske guzar Jane ka,
Yehi tha naseeb iska,
Yu sab ko chhod Jane ka......

Saturday, 4 February 2017

Yeh kehne se darte hain..

Kuch log yaha Aksar,
Bheed mein mila karte hain,
Jo tanhai mein apni,
Akele sada karte hain,
Dar lagta hai kehne mein,
Ki tum ho mera paas,
Lagaye rakhte hain hum,
Tumse milne ki aas,
Par Naajaane kyo,
Kehne se darte hain,
Hum dilo-jaan se,
Tum par mara karte hain,
Dar lagta hai kahi tum,
Is baat se na rus jao,
Jitna saath abhi nibhati ho,
Kahi usko bhi na nibhao,
Yehi soch kar hum,
Thodi dur raha karte hain,
Par jaan te hain pure dil se,
Hum Tum Se Hi Pyaar karte hain.......