Har kisi Ko Jo,
Manta hai apna,
Dekhta hai woh fursat mein,
Kaameyaabi ka sapna,
Har kisi Ko Jo,
Manta hai apna,
Dekhta hai woh fursat mein,
Kaameyaabi ka sapna,
Dil mein baste hain iske,
Saree eek see badh Kar eek,
Rehta hai Sab sang aise,
Jaise rehte hain log Neek,
Par najane Kyo fir yeh un par,
Apna Haqq aise Jataata hai,
Ki eek hi pal mein yeh unko,
Apni zindagi se hatata hai,
Jaise use karte hain saree isko,
Pehle unki har baat mein aa jata hai,
Hadd paar Hoti dikhte hi,
Eek pal mein sabko yeh dur Bhagata hai,
Par fir bhi yeh apno ka,
Saath SADA nibhaata hai,
Dil hi iska kuch aisa hai Jo,
Sab ka bhala chahta hai,
Par Insaan Jo Basta hai isme,
Woh Khel fir aise dikhata hai,
Jo pal bhar mein sapno Ko iske,
Chuur chuur kar jata hai,
Kya kare Insaan ki,
Fitrat hi Kuchh aisi hai,
Jo Sab Ko apas mein Lada ti hai,
Himalay par Chadha kar pal mein,
Dham see neeche girati hai,
Aur duje hi pal mein Sab Kuchh,
Fir wapas de Jati hai,
Soch sooch kar in baron Ko,
Shuru Kiya Dil ne fir dhadakta,
Dekha fursat mein fir se unse,
Kaameyaabi ka Naya eek Sapna........
Saturday, 14 January 2017
Kaameyaabi ka Sapna
Subscribe to:
Posts (Atom)