Tuesday, 26 December 2017

Apni zindagi Mein yehi......

Dil mera dhadka fir se,
Jab yaad teri mujhe aayi, 

Fir laga kya hua tha aisa, 
Jo hui thi humari judai, 

Dil mera dhadka fir se,
Jab yaad teri mujhe aayi, 

Fir laga kya hua tha aisa, 
Jo hui thi humari judai, 

Dil mera dhadka fir se,
Jab yaad teri mujhe aayi, 

Fir laga kya hua tha aisa, 
Jo hui thi humari judai, 

Usi baat ko soch soch kar, 
Kal kar li maine sab se ladai..

Usi baat ko soch soch kar, 
Kal kar li maine sab se ladai..

Tu kya gayi zindagi se meri, 
Maine jeena hi chood diya, 

Tu kya gayi zindagi se meri, 
Maine jeena hi chood diya, 

Ho jata tha thoda sa, 
khush jo daru pee kar, 

Ho jata tha thoda sa, 
khush jo daru pee kar, 

Ab toh woh bhi chood diya...... 

Chot lagi thi dil par aisi, 
Lakh Jode jo judi nahi, 

Chot lagi thi dil par aisi, 
Lakh Jode jo judi nahi, 

Tu bhi nikli bewafa itni,

Tu bhi nikli bewafa itni, 

Ek baar gayi toh wapas mudi nahi...... 

Yaad teri mein fir se maine, 
Bottle ek puri khud hi pe li, 
Lakh roka duniya ne mujhe, 
Par aaj kisi ki nahi suni, 
Pe kar puri bottle maine, 
Tujhko fir se bhula diya, 
Kyuki mujhe yaad teri ne, 
Aaj fir se rula diya,
Par thak gaya Ab mai ro ro ke, 
Khaa kar itne duniya se dhokhe, 
Toh khaa li kasam aaj, 
Uthunga 9-10 ghante so ke,
Or uthne ke saath hi, 
Teri har yaad ko jala dunga,
Or apno ke saath hi, 
Jeena shuru kar dunga, 
Dikha dunga duniya ko bhi, 
Mai aage badh chuka hoon, 
Naye Sharan ko saamne la ke, 
Ab mai improve ho chuka hoon, 
Jise chahiye bas apno ki khushi, 
Jinkee liye yeh kuch bhi karega, 
Or gham bhari baaton se, 
Yeh unko ab dur rakhega, 

Rok lo jo rok sakte hain, 
Ab yeh kisi ke haath aayega nai, 
Pehle toh rota tha Yeh akela, 
Ab kisi ko bhi rulayega nai, 
Khush rahega aur khush rakhega, 
Sabko hasna sikhayega,
Gham bhari raaton Mein Ab Yeh, 
Khushi ka sawera layega, 


Teri bewafai see ab Yeh, 
Aage badh chuka hai, 

Zindagi Ki har seedi par, 
Ab Yeh thoda chadh chuka hai, 

Teri bewafai see ab Yeh, 
Aage badh chuka hai, 

Zindagi Ki har seedi par, 
Ab Yeh thoda chadh chuka hai, 

Har seedhi ki chaukhat boli ab, 
Ki teri toh nikal liiii, 

Kismat khuli mehnat se teri, 
Jo ab tune kar liiii, 

Naach le jhoom le, 
Puri duniya ghum le, 

Naach le jhoom le, 
Puri duniya ghum le, 

Ab Na Tu uska na woh teri, 
Yaadein bhi uski ab teri nahi, 

Woh bhi khush hai apni zindagi Mein kahi, 
Toh tu bhi hoo Jaa khush 
Apni zindagi Mein yehi,

Woh bhi khush hai apni zindagi Mein kahi, 
Toh tu bhi hoo Jaa khush 
Apni zindagi Mein yehi,

Woh bhi khush hai apni zindagi Mein kahi, 
Toh tu bhi hoo Jaa khush 
Apni zindagi Mein yehi......

Thursday, 7 December 2017

Learn and earn

Life is full of twists and turns,
Some gets chilly ice some gets burns,
But with passing of every new moment,
Something comes new which everyone learns,
Keeping the trust that all will be well,
As all have to pass through life called hell,
Just close your eyes and remember your God,
As blessing of him will help you a lot,
To live and forgive mistakes of all,
As they came into your life to make you strong,
As everyone have some sort of weekness,
In which they all feel everything mess,
You should overcome all obstacles,
In order to make some miracles,
But that need patience which makes you run,
As time keeps on moving like a bullet gun,
Never fell down on any situation,
And keep yourself on to learn and earn!!

Wednesday, 20 September 2017

Full volume

Hasta hua chehra yaha

Har kisi ka acha lagta hai

Par kya jane koi

Kitna andar se tadapta hai

Chup rehna bhi ek aadat hai

Jo bheed mein tanha kar jaati hai

Haste hue chehre ke woh

Dil ke aansu chupati hai

Sabse acha us time toh

Lagta hai bas apnaa phone

Jisme full volume tracks baje kar

Ho ja tee hain hum maun

Ki aa jaye samne koi bhi

Bol dete hain, "tu kaun"

Dil hai sheeshe ka

Tut ta rehta hai

Mann hai shant ek dum

Jo har gham sehta hai

Dimaag ki har ek nass mein

Aisa siren bajta hai

Jo full volume par

Tandav karta hai

Fir aati hai woh play list

Jo mood badal jaati hai

Dil aur dimag ki jo

Ek madhur Dhun banati hai

Wo sama hi kuch aur hota hai

Jab apna favorite music baj jata hai

Badi see badi musibat ki bhi woh

Pal bhar Mein paar kar jata hai

Maza toh usi pal Mein aata hai

Jab life Mein success zyada ho aur tension kam

Aur aisa hota tabhi hai jab

Bajte hain favourite gaane full volume!!!!!!

Tuesday, 18 April 2017

Cricket meri zindagi

Har kisi ke jeewan mein,
Kuch khaas toh hota hai,
Kab woh pura junoon ban jaye,
Uske khayal mein rota hai,
Un mein se hi ek,
Jo mera saccha khwaab hai,
Cricket hai meri zindagi,
Jisko mai har roz jeeta hoon,
Wicket gira kar dushman ki,
Eek jaam khushi ka peeta hoon,
Kehte Hain sab yaar mere mai,
Jab khelta hoon lagta Cheeta hoon,
Saal mein do baar hi sahi mai,
Eek Jeewan naya jee jata hoon,
Jaise logo ko desh mein,
Nahi lagti hai acchi gandagi,
Usse bhi zyada dil se kahunga,
Hai cricket meri zindagi!!!!!!

Monday, 10 April 2017

Nahi chahiye

Soch nayi le kar dil,
Chalne ko tayyar hai,
Isko nahi pata bilkul,
Kya hota pyaar hai,
Bhool chuka hai yeh toh ab ki,
Hota kaun bhi yaar hai,
Kaun hain woh jin ke liye,
Yeh rehta bekaraar hai,
Par ab un sab se,
Yehi kehna chahta hai,
Jao jaha jana hai tumko,
Mujhe tumhara saath ab nahi chahiye,
Reh lunga jaise bhi ab,
Par koi dhookha nahi khana,
Befaltu ke sapne dikha kar,
Un mein mujhe nahi hai toot jaana,
Jud raha hoon khud se hi ab,
Bina kisi umeed ke,
Meanwhile I would like to,
Thank you alot for staying away!!!!

Monday, 27 February 2017

Kuch pata na chala

Mai kaha kho gaya,
Kuch pata na chala,
Kab kaha so gaya,
Kuch pata na chala,
Dil Mera ro pada,
Kuch pata na chala,
Mai kaha kho gaya,
Kuch pata na chala,
Kab kaha so gaya,
Kuch pata na chala,
Dil Mera ro pada,
Kuch pata na chala,

Rote rote Jana,
Mai hua diwana,
Har baar ki tarah,
Mujhe aaya na batana,
Na baitha gaya tanha,
Toh likh dala yeh fasana,
Mujhe saath jeewan kaa,
Sang tere hai bitana,
Har sapne ko humare,
Pura kar ke hai dikhana,
Kahe jise jo kehna hai ab toh,
Mujhe hai aage badh jana,
Tere Liye ab toh,
Thana hai is Dil ne mere ,
Mujhe toh KAAMEYAAB,
Ho KAR hai dikhana,
Aur apna jeewan Saathi,
Bas tujhe hai banana,

Mai kaha kho gaya,
Kuch pata na chala,
Kab kaha so gaya,
Kuch pata na chala,
Dil Mera ro pada,
Kuch pata na chala,
Mai kaha kho gaya,
Kuch pata na chala,
Kab kaha so gaya,
Kuch pata na chala,
Dil Mera ro pada,
Kuch pata na chala!!!!!

Tuesday, 14 February 2017

I, me aur mai.........

Akele hi mai aaya tha,
Akele hi wapas jana hai,
Jaane kisne kab tak mera,
Kitna saath nibhana hai,
Aaya hoon is duniya mein,
Mai kisi khaas maqsad se,
Us maqsad ko sirf Bhagwan jaante hain,
Is naacheez ko duniya waale,
Sharan Sachdeva ke naam se jaante hain,
Pata Hai sabko ki yeh,
Ladka thoda ajeeb hai,
Phuti kismat se bhi gaya,
Guzra iska naseeb hai,
Sochta hai bohot kuch yeh,
Par karta yeh kuch nahi,
Kafiyo ke dil dukhaye isne,
Jiski thi kisi ko umeed nahi,
Shayad iska safar bas,
Yahi tak ka tha,
Jo Jane anjane mein isne,
Apni Maa ko rula diya,
Jiski wajah se jeeta tha jab,
Usko hi na hasa paya,
Toh kya bacha jeewan mein iske,
Jo kabhi na ubhar kar aya,
Fir wahi laga hai ab toh,
Acha hai mai na hota,
Na kisi ko koi umeed hoti,
Na dil kisi ka tuta hota,
Ghalati sari meri hai,
Sab par bharosa karta hoon,
Kabhi bhi kahi bhi,
Over react karta hoon,
Aaj laga ki na hi hou,
Toh sab ka shayad acha hoga,
Bina Sharan Sachdeva ke,
Uska parivaar bhi khush rahega,
Kyonki acho ke beech mein jab,
Ek bura aa jata hai,
Mehnati logo ki taqdeer,
Woh barbaad kar jata hai,
Aisa karne se toh accha,
Iske bina hi sab reh lenge,
1-2 din dukhi ho kar,
Baki life me khush honge,
Aur Kyoki yeh niyam hai azaadi ka,
Ki woh Kurbani mangti hai,
Lo kurban hua ladka yeh,
Jise duniya dukhi sa pehchanti hai,
Mat karna afsos koi,
Iske guzar Jane ka,
Yehi tha naseeb iska,
Yu sab ko chhod Jane ka......

Saturday, 4 February 2017

Yeh kehne se darte hain..

Kuch log yaha Aksar,
Bheed mein mila karte hain,
Jo tanhai mein apni,
Akele sada karte hain,
Dar lagta hai kehne mein,
Ki tum ho mera paas,
Lagaye rakhte hain hum,
Tumse milne ki aas,
Par Naajaane kyo,
Kehne se darte hain,
Hum dilo-jaan se,
Tum par mara karte hain,
Dar lagta hai kahi tum,
Is baat se na rus jao,
Jitna saath abhi nibhati ho,
Kahi usko bhi na nibhao,
Yehi soch kar hum,
Thodi dur raha karte hain,
Par jaan te hain pure dil se,
Hum Tum Se Hi Pyaar karte hain.......

Saturday, 14 January 2017

Kaameyaabi ka Sapna

Har kisi Ko Jo,
Manta hai apna,
Dekhta hai woh fursat mein,
Kaameyaabi ka sapna,
Har kisi Ko Jo,
Manta hai apna,
Dekhta hai woh fursat mein,
Kaameyaabi ka sapna,
Dil mein baste hain iske,
Saree eek see badh Kar eek,
Rehta hai Sab sang aise,
Jaise rehte hain log Neek,
Par najane Kyo fir yeh un par,
Apna Haqq aise Jataata hai,
Ki eek hi pal mein yeh unko,
Apni zindagi se hatata hai,
Jaise use karte hain saree isko,
Pehle unki har baat mein aa jata hai,
Hadd paar Hoti dikhte hi,
Eek pal mein sabko yeh dur Bhagata hai,
Par fir bhi yeh apno ka,
Saath SADA nibhaata hai,
Dil hi iska kuch aisa hai Jo,
Sab ka bhala chahta hai,
Par Insaan Jo Basta hai isme,
Woh Khel fir aise dikhata hai,
Jo pal bhar mein sapno Ko iske,
Chuur chuur kar jata hai,
Kya kare Insaan ki,
Fitrat hi Kuchh aisi hai,
Jo Sab Ko apas mein Lada ti hai,
Himalay par Chadha kar pal mein,
Dham see neeche girati hai,
Aur duje hi pal mein Sab Kuchh,
Fir wapas de Jati hai,
Soch sooch kar in baron Ko,
Shuru Kiya Dil ne fir dhadakta,
Dekha fursat mein fir se unse,
Kaameyaabi ka Naya eek Sapna........