Har pal ko Har lamhe koo
Kuch aise bitaya jaaye,
Ki jag jeewit Har shakhseeyat ko,
Hasna sikhlaya Jaye,
Hasne hasane wali,
Duniya bohot hi chooti hai,
Aur tanhayi mein aksar sabki,
Aankhein jee bhar kar rooti hain,
Toh kyo naa un bebas aankhoon ka,
Paimaana yuu bhagaya jaaye,
Bhula kar Har zakhm ko aage,
Badh kar hasna sikhaya jaaye,
Haste haste Kat Jaye raste,
Har koi farmaata hai,
Par Har koi raste mein kyo,
Tanha fir chood jaata hai,
Kyoki yeh dastoor hai aisa,
Kii Sab Kuchh badal hi jana hai,
Isliye hi yeh koshish ab kii,
Khushi ke Palo ko chupana hai,
Aise kone mein jeewan ke apne,
Ki jab chahein unhe paaye,
Aur bina dikkat ke Koi,
Gham see aage badh jaayein,
Mana rah kathin hai kintu,
Chalte Iss par humein jaana hai,
Aur Badi hi aasaani see,
Khush reh kar Sab ko dikhana hai ,
Don't worry be happy,
And feel a healthily nappy :-) :-)